Avadh Mein Laute Hai Shri Ram Lyrics - Sonu Nigam

Avadh Mein Laute Hai Shri Ram Lyrics of Hindi Song, Sung By Sonu Nigam. Lyrics of this song is written by Ashutosh Agnihotri and music is composed By Shreyas Puranik.

Song Title:Avadh Mein Laute Hai Shri Ram
Sung By:Sonu Nigam
LyricsAshutosh Agnihotri
Music:Shreyas Puranik
Music Label:T-Series
Release Date:16th January 2024

Avadh Mein Laute Hai Shri Ram Lyrics

Ram ram jai jai shri ram
Ram ram jai jai shri ram
Ram ram jai jai shri ram
Ram ram jai jai shri ram

Lamba tha vanvaas ram ka
Lekin ye vishwaas ram ka
Sach ki, tap ki jay hoti hain

Dhairya tapa mann hi moti hain
Aati hai baadhaye aaye
Jitna roke aur daraye

Jisne vrat sankalp liya hain
Aandhi mein bhi jala diya hain
Jag kar door kare andhiyaara
Har chhal, har shadyantra hain haara

Achhai, sachhai jeete ki...

Ghar ghar deep jale har shaam 
Manao diwali
Avadh mein laute hai shri ram 
Manao diwali

Bane hai sabke bigde kaam 
Manao diwali
Avadh mein laute hain shri ram 
Manao diwali

Ram ram jai jai shri ram
Ram ram jai jai shri ram
Ram ram jai jai shri ram
Ram ram jai jai shri ram

Van van ghoom, desh ko baandha
Deen dukhi ko de kar kandha
Tap se shath abhimaan mitaa kar
Sita ko samman dila kar

Jami shila ko shaap mukt kar
Kitne patthar praan yukt kar
Setu baandhkar, lakshya saadhkar
Yuddh jeet kar, paap naash kar

Ho poora karke vachan pita ka
Lehra karke vijay pataka
Wapas aaye apni nagri...

Saja hain poora raghuwar dhaam
Manao diwali
Avadh mein laute hain shri ram 
Manao diwali

Bane hain sabke bigde kaam 
Manao diwali
Avadh mein laute hain shri ram 
Manao diwali

Kewat ki bhi nauka taari
Shabri ki jhuthan svikaari
Jo jiska hai use dila kar
Shiv mein milkar ban rameshwar

Aaj hriday aanand bhara hain
Pulkit ambar aur dhara hain
10o dishayein sur mein gaati
Swagat mein aatur harshati

Baahein khol khadi hai maayein
Aanjane bhi saath hain aaye
Prabhu ka aisa ho abhishek ki...

Unka raaj rahe aviraam 
Manaao diwali
Avadh mein laute hain shri ram 
Manao diwali

Bane hain sabke bigde kaam 
Manao diwali
Avadh mein laute hain shri ram 
Manao diwali

Ram ram jai jai shri ram
Ram ram jai jai shri ram
Jay ram, shri ram
Jay ram, shri ram
Jay ram, shri ram

Ram ram jai jai shri ram
Ram ram jai jai shri ram
Ram ram jai jai shri ram
Ram ram jai jai shri ram


Song Music Video

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post