Aaja Mahi Lyrics - AUR (Uraan)

Aaja Mahi Lyrics of Latest Hindi Song, Sung By AUR (Raffey, Usama & Ahad). This Song's Lyrics Is Written By Ahad Khan & Usama Ali and Music Is Composed By Raffey Anwar.


Song Title:Aaja Mahi
Singer:Uraan (AUR)
Lyrics:Ahad Khan & Usama Ali
Music By:Raffey Anwar
Music Label:Uraan (AUR)
Release Date:19th February 2024

Aaja Mahi Lyrics - AUR (Uraan)

Kho jaunga main tum mein
Tum bhi kho jaao na
Bass jaunga main tum mein
Mere ho jaao na

Dekho na aake jaana
Katt'ti na raatein jaana
Maana ke mushkil hain
Par bhoolo na vaade jaana

Dil ko samjhake jaana
Sab kuch na milta maana
Na jaane hum kyun bichde
Hum mein to pyaar bhi tha na

Marta hoon main, marta hoon main, aaja
Yaad tujhe karta hoon main, aaja
Toote hue dil ka main tere
Chhota sa tukda hoon main, aaja

Dil ki baatein hi nahi suni
Ab vaado pe yakeen nahi
Humein tu nahi mila kabhi
Humein sirf tasalli di gayi

Humse khushiyan cheen li gayi
Humein bas udaasi di gayi
Tera intezaar hain sada
Par tere aane ki umeed hi nahi bachi

Aao na... Dekho tum dobara
Teri yaadein hi bani hai jeene ka sahara
Tanha baitha aahein bharta hoon main
Tu nahi hai paas to ab khud se ladta hoon main

Darrta hoon main, darrta hoon main, na jaa
Pyaar tujhe karta hoon main, na jaa
Khud ko bhi kho dunga main agar
Tujhko jo kho dunga, na jaa

Ek hi baar to gaye the tum
Ek hi baar marr gaye the hum
Ek hi baar mein sab tham gaya
Khushiyan door, gale lage hum

Ek hi baar aa jaao na
Ek hi baar dekho na ab tum meri taraf
Ek hi baar mein le jaau sab 
Toota dil, uski yaadein aur uski tadap

Gham tumne dekha kahan hai
Khushiyon sa tera jahaan hain
Humne dekha ye jahaan hain
Parde ka tumsa na jaana

Dekho na aake jaana
Katt'ti na raatein jaana
Maana ke mushkil hain
Par bhoolo na vaade jaana

Dil ko samjhake jaana
Sab kuch na milta maana
Na jaane hum kyun bichde
Hum mein to pyaar bhi tha na

Aaja poori kare
Wo daastan doori bhare
Wo raasta jo jaata
Tujhko manaane...

(Maahi aaja re)
(Aaja, aaja re)
(Ye baatein tere siva koi kya jaane)


Song Music Video


Post a Comment (0)
Previous Post Next Post