Parinda Lyrics of Hindi Rap Song, Sung By Panther ft. Priyanka Meher. Lyrics of Panther song is written by Panther and music is composed by Nikhil-Swapnil.
Song Title: | Parinda |
Sung By: | Panther & Priyanka Meher |
Lyrics: | Panther |
Music: | Nikhil-Swapnil |
Music Label: | Panther |
Release Date: | 21st January 2024 |
Parinda Lyrics - Panther
Ghoomta hai toota toota
Parinda rootha rootha
Ghoomta hai toota toota
Parinda rootha rootha
Toota toota
Parinda rootha rootha
Toota toota
Parinda rootha rootha
Keh dena duniya se
Main duniya ke na kaabil
Hain tezi duniya mein
Mera dil haule chalta hai kaafi
Yahan talvaarein hathon mein
Aur apne hatho mein hain syahi
Inko hi aadat hain
Humein aadat-e-wah wahi
Jhooth chehre pe bolu
To phir main khaas kaise hua
Sach bola na
Toh phir tere dil ke paas kaise hua
Umeedon pe khara nahi
To teri aas kaise hua
Ye insaaniyat hain jalti
Ye koi ghaas ka ni dhuaa
We’re dying, ya phir zinda hain koi
Pehla lagta tha mujhe bhi
Karam likhta hain koi
Main galat hota hoon
Par mujhe galat dikha aur koyi
Joh pehlu badle har mauke pe
Chalta sikka hain wo hi
Ye bhookh khaane pe
Aur zyada badhti jaa rahi hai
Jalti insaaniyat
To phir dharti tapti jaa rahi hai
Logo ke dil hue thande
Ya phir sardi chaa gayi hain
Banana hain ghar
To pohcha hoon main ghar bhi naa sahi se
Kyunki...
Gharonda bacha na
Ujad gayi daali daali
Aasma hain viraana
Jahan hain khaali khaali
Udu main kahan ko?
Pata naa hain manzil ka
Puche koi naam tera
To maine hain rabb likha
Uda kaaga, uda aasman mein
Ghar se door jaye ghar walo ki baat maanke
Shuru rasta hua to dil hain haar maan le
Par chalna iklauta raasta, jeevan raag samne
Nayi jagah, nayi hawa
Naye badal, nayi wajah
Dheere dheere lagne lagi
Apne ghosle ki tarah
Door ghar se, naya makaan
Itna hosh hi hain kahan?
Par ye makaan to phir aksar ghar pe lautne ki tadap
Parinde ka ghute damm
Parinde ko mile tum
Mil ke bole na koi hum
Parinda hain bheed mein
Par sunsaan lage sab
Parinde ko maa ki yaad aaye, par bole na
Use aati hain sharam
Parinda hain pareshaan
Use ghosla naa mile
Ghar ki bhare wo udaan
Par koi haunsla naa mile
Aasmaan ude wo
To use josh kahan mile
Dosh dene wali duniya mein
Yahan dost kahan mile?
Bata maara maari machi daane daane ki
Yahan hodd machi niche girake bas aage jaane ki
Dekhne wali duniya nahi, dikhaane wale ki
Roti kamaani nahi, cheenani hain bas khane wale ki
Mile sab ko yahan jagah kaafi
Phir pade kaafi na
Ye jagah sabko roothke ye gila
Insaano mein bhi kaafi maine dhundhe hain insaan
Par ek bhi na mujhe kahin dhoondne pe mila
Udd ja kaaga re
Tora ambar toke pukaare
Udd ja kaaga re
Tora ambar toke pukaare
Ghoomta hain toota toota
Parinda rootha rootha
Ghoomta hain toota toota
Parinda rootha rootha
Toota toota
Parinda rootha rootha
Toota-toota
Parinda rootha rootha